sagar narmadeshwar shivling - सागर नर्मदेश्वर शिवलिंग

Maa Narmada ki God se Prakat, Sakshat Shiv-Swaroop ka Apne Ghar-Mandir mein Abhinandan Karein

“Kankar-Kankar Shankar” — Hum vyapaar nahi, Maa Narmada ke Swayambhu Vigrah ko bhakton tak pahunchane ki ek nimit-matra sewa kar rahe hain. Poori pavitratta aur maryada ke sath Mahadev ka swagat karein.

Kyun Judein?

Swayambhu Chayan (Live Video Call): Hum maante hain ki Mahadev svayam apna bhakt chunte hain. Isliye, hum aapko Live Video Call ke madhyam se wahi ‘Vigrah’ dikhayenge jinki sewa aapke bhagya mein likhi hai.

Pavitra Suraksha (All India Delivery): Maa Narmada ke tat se aapke dwar tak, Prabhu ka aagman poori maryada aur suraksha ke sath Nishulk (Free) kiya jayega.

Bhakti ka Sankalp (Cash on Delivery): Jab Mahadev aapke ghar padhaar jayein aur aap unke darshan kar lein, tabhi apni shraddha-rashi (Payment) bhent karein.

Har Swaroop mein Mahadev: Chahe ghar ke liye 2 inch ke angusht-matra Shivling hon ya mandir ke liye 3 feet ke vishal swaroop—aapki har pujan avashyakta ka dhyan rakha jayega.

Sampurna Pardarshita: Chayan ke samay hi gunvatta (Quality) aur sewa-rashi (Price) se judi har jankari nishchal bhav se saanjha ki jati hai.

Dhanya hue ve Angan, Jahan Virajmaan hue Mahadev

5000+ Bhakton ka vishwas. No Lab Certificates, No Fake Claims. Sirf 100% Asli aur Pavitra Patthar

Maa Narmada ke in Swayambhu Vigrahon ne desh-videsh ke hazaron parivaaron mein sukh-samridhhi aur bhakti ka vaas kiya hai. In dhanya parivaaron ne Mahadev ka swagat kiya, ab aapke ghar padhaarne ki baari hai

Mahadev svayam marg dikhate hain... bas aap ek kadam badhayein

Bhagwan Narmadeshar ko Kahan Virajmaan Karne ka Sankalp Hai Aapka?

Har sthan ki apni maryada hai, usi ke anuroop apne Narmadeshwar ka darshan karein.

Apne ghar ko Shivalay banayein (2–6 Inch Shivling)

Swayambhu Narmadeshwar, jo grihasth jeevan mein sukh-shanti late hain.

Daily poojan ke liye Narmadeshwar Shivling
small size, daily pooja ke liye suitable
Live Video Call par size, shape aur quality confirm
Final selection ke baad hi order process

Sarvajanik Mandir ke liye (8 Inch – 3 Feet Shivling)

Vishal aakar, jo mandir ki divyata aur urja ko badhate hain.

Nandi aur Shiv-Parivar ke sath purna set ki suvidha

Big  size Narmadeshwar Shivling
8 inch se 10 feet tak options available
Live Video Call par Pran Pratishtha ke liye selection
Naturally Maa Narmada se prapt Shivling

Mann ki Shankaon ka Nivaran

Prabhu ke aagman se pehle, har bhakt ke mann mein uthne wale sawalon ka bhav-purn margdarshan.

हाँ, घर में नर्मदेश्वर शिवलिंग स्थापित करना शुभ माना जाता है।
विशेष रूप से छोटे आकार (4 इंच से 8 इंच) के शिवलिंग गृह पूजन के लिए उपयुक्त होते हैं। इन्हें जलाधारी के साथ तांबे की थाली या चौकी पर रखा जाता है।

हाँ, रोज़ शिवलिंग पर जल, बेलपत्र, दूध आदि चढ़ाकर पूजा करने से
गृह कल्याण, शांति और सकारात्मक ऊर्जा बनी रहती है।

हां, हम हर ग्राहक को वीडियो कॉल पर शिवलिंग दिखाते हैं।

हां, हमारे पास 1 फीट से लेकर 3 फीट तक के बड़े शिवलिंग उपलब्ध हैं।

हां, आप चाहें तो Shiv Parivar Set और Jaladhari के साथ भी ऑर्डर कर सकते हैं।

हाँ, पूरे भारत में Cash on Delivery की सुविधा उपलब्ध है।

आमतौर पर डिलीवरी 4 से 7 कार्यदिवसों के भीतर हो जाती है।

आप अपनी ज़रूरत अनुसार सेट का चयन कर सकते हैं — केवल Shivling या Full Set.

Aagman aur Sewa (Process & Delivery)

Prabhu ke Aagman ki Vidhi

Pavitra Packing: Mahadev ko foam aur mazboot kawach (box) mein surakshit kiya jata hai.

Shubhaarambh: WhatsApp par confirm hote hi aagman ki taiyari (Dispatch) shuru.

Samay Seema: 1–3 dinon mein Mahadev aapke dwar honge.

Sewa-Anubhav: Delivery ke baad bhi sthapna aur poojan vidhi mein hum aapke sath rahenge.

Kya Aapke Ghar Padhaar Rahe Hain Bholenath?"

Der na karein, wahi Shivling aapki pratiksha kar rahe hain jo sirf aapke liye bane hain

Note: Shashtron ke anusar, Narmadeshwar Mahadev svayam-shiddh hain, isliye inki sewa saral aur kalyankari hai

Choose Shivling Size